Abrahim Lincoln Ka apne putr ke sikshak ke naam patr



hey Sikshak!
main janta hu aur ,manta hu
ki na to her aadmi sahi hota hai
our na hi hota hai sacha
kintu tumhe oose sikhana hoga ki
bura kon hai aur kon achcha.

dusht wyaktiyon ke sath sath aadarsh prerna bhi hote hai
sawarti rajnitijyo ke sath samarpit neta bhi hote hai
dushmano ke sath sath mitr bhi hote hai
her virupta ke sath sunder chitr bhi hote hai

samaya bhale hi lag jaye, per
yedi sikha sako to oose sikhna
ki paye hue panch se adhik mulyawan hai-
swayam ek kamana.

payee huyee har ko kaise jhele, oose yehe bhi sikhana
aur sath hi sikhana, jeet ki khushiyan manana
yedi ho sake to eershya ya dvesh se pre hatana
aur jiven main chipee moun muskan ka path padhana.

jitni jaldi ho sake oose janane dena
ki dusron ko aatankit karne wala swayam kamjor hota hai
wah bhayabhit v chintit hai
kyonki ooske man main swayam chor chipa hota hai

oose dikha sako to dikhana-
kitabon main chipa khazana.
aur oose wakt dena chinta karne ke liye...
ki aakash ke pre udhte panchiyon ka ninad
hri-bhari phadhiyon se jhankten phullon ka sanwad
kitna vilakshan hota hai- avismarniy... aagadh

yehe bhi sikhana-
dhokhe se safalata pane se asafal hona jyada sammananiy hai
aur apne vicharon per bharosa rakhna adhik vishvsaneey hai
chahen anya sabhi unko galat thaharayen
parantu sawayam per apni aastha bani rhe yehe bhi vicharniy hai

yehe bhi sikhana ki wah shadya ke sahadya ho
kintu kathor ke sath ho kathor.
aur lakir ka fakir bankar
oos bhid ke piche na bhage jo karti ho- nirarthak shor

oose sikhana
ki wah sabki sunte hue apne man ki bhi sun sake
her tathya ko satya ki kashouti per kasker sun sake.

yedi sikha sako to sikhana ki wah dukh main bhi muskura sake
ghanee vedna se aahat ho, per khushi ke geet ga sake.
oose ye bhi sikhana ki aansu bahte ho to bahne de,
esme koi sharm nhi... koi kuch bhi kahta ho... kahne do.

oose sikhana-
wah sankiyon ko kankhiyon se hansker tal sake
per atyant mridhubhashi se bachne ka khyal rakhe
wah apne bahubal v budhibal ka adhiktam mol pahchan paye
prantu apne hardya v aatma ki boli na lagwaye

wah bhid ke shor mein bhi apne kan band ker sake,
aur swatah kee anteraatma kee sahi aawaj sun sake
sach ke liye lad sake aur sach ke liye ad sake.

oose shanubhuti se samjhana
per pyar ke atirek se mat bahlana.
kyonki tap-tap ker hee loha khra banta hai

tap paker hi sona nikhrta hai

oose sahas dena taki wah waqt padne per adheer bne
sahansheel bnana taki wah veer bne
oose sikhana ki wah swayam per aseem visvaas kre
taki samast manav jati per bhrosa v aas dhre
yehe ek bada-sa lamba-choda anurodh hai
per tum ker sakte ho,kya iska tujhe bodh hai?
mere aur tumhare.... dono ke sath ooska rista hai
sach mano, mera beta ek pyara sa nanha sa frista hai.




yehe adbhut patr amerika ke purv rastrpati Abrahim Lincoln dwara apne putr ke sikshak ke naam likha gaya tha. maine yehe patr ek din samachar patr main padha aur main bhut parbhavit hua aur main ise thin bhasao main apne ke madhyam se aap sabhi tak phucha rha hun. Aasha karta hu ki yeh aap ko bhi prabhavit krega our hum sabhi ko hmesha prerna deta rhega.

Comments

Popular posts from this blog

How To Submit Site URL To Directories

40 Blogs That Accept Guest Posts